اردو हिंदी
Jism ke gharaunde mein aag shor karti hai | Shaahi Shayari
jism ke gharaunde mein aag shor karti hai

Ghazal

Jism ke gharaunde mein aag shor karti hai

Ateeq Anzar

;

jism ke gharaunde mein aag shor karti hai
dil mein jab mohabbat ki chandni utarti hai

sham ke dhundlakon mein Dubta hai yun suraj
jaise aarzu koi mere dil mein marti hai

din mein ek milti hai aur dusri shab mein
dhup jab bichhaDti hai chandni sanwarti hai

baghban ne roka ya le gaya use baadal
baat kya hui KHushbu itni der karti hai

gham ki band muTThi mein ret sa mera jiwan
jab zara kasi muTThi zindagi bikharti hai

ganw ke parind tum ko kya pata bideson mein
raat hum akelon ki kis tarah guzarti hai

dur mujh se rahte hain sare gham zamane ke
teri yaad ki KHushbu dil mein jab Thaharti hai