jise likh likh ke KHud bhi ro paDa hun 
main apni ruh ka wo marsiya hun 
meri tanhaiyon ko kaun samjhe 
main saya hun magar KHud se juda hun 
samajhta hun nawa ki shoalagi ko 
sukut-e-harf se lams-e-ashna hun 
kisi se kiya milun apna samajh kar 
main apne waste bhi na-rasa hun 
koi suraj hai fan ka to mujhe kya 
main apni raushni mein sochta hun 
mera sahra hai meri KHud-shanasi 
main apni KHamushi mein gunjta hun 
mujhe ye justuju rakhti hai hairan 
ki main sahba hun ya sahba-numa hun
        Ghazal
Jise likh likh ke KHud bhi ro paDa hun
Sahba Akhtar

