jise likh likh ke KHud bhi ro paDa hun
main apni ruh ka wo marsiya hun
meri tanhaiyon ko kaun samjhe
main saya hun magar KHud se juda hun
samajhta hun nawa ki sholagi ko
sukut-e-harf se lams-e-ashna hun
koi suraj hai fan ka to mujhe kya
main apni raushni mein sochta hun
mera sahra hai meri KHud-shanasi
main apni KHamushi mein gunjta hun
kisi se kya milun apna samajh kar
main apne waste bhi na-rasa hun

Ghazal
Jise likh likh ke KHud bhi ro paDa hun
Sahba Akhtar