jise kal raat bhar puja gaya tha
wo but kyun subh ko TuTa hua tha
agar sach ki haqiqat ab khuli hai
to jo ab tak nazar aaya tha kya tha
agar ye talKHiyon ki ibtida hai
to ab tak kaun sa amrit piya tha
khula hai mujh pe ab duniya ka matlab
magar ye raaz pahle bhi khula tha
main jis mein hun ye duniya muKHtalif hai
jahan main tha wo aalam dusra tha
main KHud ko mar kar pahuncha yahan tak
to yaad aaya ki main to mar chuka tha
meri main aur teri main donon haarin
main banda hun magar tu to KHuda tha
main ab jo munh chhupae phir raha hun
to kya main waqai chehra-numa tha
Ghazal
Jise kal raat bhar puja gaya tha
Faisal Azeem