jis waqt bhi mauzun si koi baat hui hai
mahaul se naghmat ki barsat hui hai
mai-KHane mein hai shab ke guzarne ka ye aalam
mahsus ye hota hai abhi raat hui hai
hai arsa-e-mahshar bhi koi kunj-e-gulistan!
dekho to kahan un se mulaqat hui hai
ye dekh ki kis haal mein hum zinda hain ab tak
mat puchh ki kaise basar-auqat hui hai
imkan nikal aae hain 'adam' sulh ke kuchh kuchh
kal shab gham-e-hasti se meri baat hui hai
Ghazal
Jis waqt bhi mauzun si koi baat hui hai
Abdul Hamid Adam