اردو हिंदी
Jis waqt aankhen KHwab aaina dil hota hai | Shaahi Shayari
jis waqt aankhen KHwab aaina dil hota hai

Ghazal

Jis waqt aankhen KHwab aaina dil hota hai

Safdar Siddiq Razi

;

jis waqt aankhen KHwab aaina dil hota hai
sher nahin likkha jata nazil hota hai

tanha kyun chalte ho kisi ke sath chalo to
ek rasta aisa hai jo manzil hota hai

aur kisi ke hath pe hum baiat na karenge
dariya sirf samundar mein shamil hota hai

zinda rahna sahal bahut hai lekin insan
jaan se guzar jae to is qabil hota hai

har shai nafa nahin har chiz KHasara nahin hai
kuchh khoya jata hai kuchh hasil hota hai