اردو हिंदी
Jis taraf bhi dekhiye saya nahin | Shaahi Shayari
jis taraf bhi dekhiye saya nahin

Ghazal

Jis taraf bhi dekhiye saya nahin

Guhar Khairabadi

;

jis taraf bhi dekhiye saya nahin
phir bhi gulshan hai koi sahra nahin

log baiThe hain usi ki chhanw mein
sae se jis peD ka rishta nahin

kaam agar aae nigah-e-haq-shanas
phir kisi pahlu koi dhoka nahin

haq-pasand mera dastur-e-amal
yani bik jaana mera shewa nahin

dosto rakkho haqiqat par nazar
KHwab aankhon mein kabhi palta nahin

us ki duniya mein nahin qimat koi
jo kasauTi par khara utra nahin

wusaten dil ki hain dariya ki tarah
kaun kahta hai ki dil dariya nahin

dard-o-gham wo kis ke samjhe ai 'guhar'
apne ghar se jo kabhi nikla nahin