jis shaKHs ki ho zist faqat nam se tere
us shaKHs ka kya haal ho paigham se tere
gali hai ki hai sehr koi ya ki hai afsun
ji shad hua jata hai dushnam se tere
hai apni KHushi is mein ki to jis mein KHushi ho
aaram hai apne tain aaram se tere
aahista qadam rakhiyo tu ai naqa-e-laila
majnun ka bandha aata hai dil gam se tere
jab kuche mein ja baiThte hain tere to apni
aankhen lagi rahti hain dar-o-baam se tere
hai apne hamein kaam se kaam ai but-e-KHud-kaam
hum kaam nahin rakhte hain kuchh kaam se tere
kya hijr ki raat aai ki manind-e-charaghan
phir jalne lage dagh 'hasan' sham se tere
Ghazal
Jis shaKHs ki ho zist faqat nam se tere
Meer Hasan