jis ko hum samajhte the umr bhar ka rishta hai
ab wo rabta jaise rahguzar ka rishta hai
subh tak ye maujen bhi thak ke so hi jaengi
chand ka samundar hai raat bhar ka rishta hai
ye jo itne sare dil sath hi dhaDakte hain
kuchh qalam ka nata hai kuchh hunar ka rishta hai
tez hain to kya gham hai tund hain to shikwa kya
in hawaon se apna baal-o-par ka rishta hai
is hasin tasawwur ka meri surKH aankhon se
aab o gil ka nata hai baam-o-dar ka rishta hai
ek na-tawan rishta us se ab bhi baqi hai
jis tarah duaon ka aur asar ka rishta hai
Ghazal
Jis ko hum samajhte the umr bhar ka rishta hai
Abbas Rizvi