اردو हिंदी
Jis ko chalna hai chale raKHt-e-safar bandhe hue | Shaahi Shayari
jis ko chalna hai chale raKHt-e-safar bandhe hue

Ghazal

Jis ko chalna hai chale raKHt-e-safar bandhe hue

Aziz Tamannai

;

jis ko chalna hai chale raKHt-e-safar bandhe hue
hum jahan-gasht hain uTThe hain kamar bandhe hue

yun to har gam kai dam hain dasht-e-shab mein
hum bhi aae hain par-o-baal-e-sahar bandhe hue

su-e-aflak safiran-e-dua jae hain
Dar hai lauT aaen na zanjir-e-asar bandhe hue

ahl-e-zindan hain abhi muntazir-e-fasl-e-bahaar
shaKH-e-farda se KHayal-e-gul-e-tar bandhe hue

dasht-e-imkan mein koi sath mera de na saka
kitne rahbar mile dastar-e-KHizar bandhe hue

koi aaghosh kushada hai na wa koi nazar
yani jo dar hai koi parda-e-dar bandhe hue

bujh gai shama nazar mund gain shab ki aankhen
subh ab aai hai pushtara-e-zar bandhe hue

hum 'tamannai' jahan-e-guzaran ki rau mein
su-e-shabnam chale ummid-e-sharar bandhe hue