jis ki KHatir main ne duniya ki taraf dekha na tha 
wo mujhe yun chhoD jaega kabhi socha na tha 
us ke aansu hi batate the na ab lauTega wo 
is se pahle to bichhaDte waqt yun rota na tha 
rah gaya tanha main apne doston ki bhiD mein 
aur hamdam wo bana jis se koi rishta na tha 
qahqahon ki dhup mein baiThe the mere sath sab 
aansuon ki barishon mein par koi bhiga na tha 
ashk palkon pe bichhaD kar apni qimat kho gaya 
ye sitara qimti tha jab talak TuTa na tha 
marmarin gumbad pe rukti thi har ek pyasi nazar 
par kasi ne maqbare mein gham chhupa dekha na tha
        Ghazal
Jis ki KHatir maine duniya ki taraf dekha na tha
Ateeq Anzar

