jis din se meri tum se shanasai hui hai
us din se meri aur bhi ruswai hui hai
tum ne hi nazar bhar ke nahin dekha hai mujh ko
aise mein bhala KHak pazirai hui hai
qissa jo naya pas koi hai to sunao
ye baat to sau bar ki dohrai hui hai
chahun bhi to main toD nahin paungi is ko
rasmon ki ye zanjir jo pahnai hui hai
tu ne bhi uDai hai hasin zindagi meri
tu bhi to mere gham ki tamashai hui hai
sach puchho to badnam hue nam ki KHatir
shohrat se ziyaada meri ruswai hui hai
rahne den karam hum pe ki ye jaan hamari
hamdardiyon se aap ki ghabrai hui hai
tum phir se uTha lae ho duniya ko kahan se
ye to meri sau bar ki Thukrai hui hai

Ghazal
Jis din se meri tum se shanasai hui hai
Siya sachdev