jins-e-giran ka main hun KHaridar dosto
aaKHir kahan hai misr ka bazar dosto
shaista-e-KHata hain meri be-gunahiyan
na-karda jurm ka hun saza-war dosto
un gumrahan-e-jada-o-manzil ki KHair ho
rahbar na koi qafila salar dosto
pur-pech zindagi ki wo rahen ki al-aman
yaad aa gaya hai kakul-e-KHamdar dosto
ab tak talash karti hai tamir-e-kaenat
bazm-e-junun mein ek tha hoshyar dosto
aaya hayat-e-ishq ki azmat ka jab KHayal
baDh kar sada di main ne sar-e-dar dosto
khul kar zaban se karte hain izhaar-e-dushmani
behtar hain aaj tum se ye aghyar dosto
manzil to de rahi hai sada aaj bhi magar
KHud ban gaya hun rah mein diwar dosto

Ghazal
Jins-e-giran ka main hun KHaridar dosto
Raza Jaunpuri