jin se maqsud hain manzil ke nishanat mujhe
bhulte jate hain wo sare ishaaraat mujhe
rah-e-irfan mein bhaTke hain kuchh aise donon
main use DhunDhta hun aur meri zat mujhe
un ke Dar se kai raaten meri be-KHwab rahin
DhunDhti phirti hain KHwabon mein jo aafat mujhe
dusron ke liye wafir hain mere pas jawab
kitne mushkil hain magar apne sawalat mujhe
yahin raushan hai kisi ek KHarabe mein charagh
ek zara rah dikha de ye siyah raat mujhe
chhin leta hai kabhi mere mahasin 'betab'
baKHsh deta hai kabhi apni karamat mujhe

Ghazal
Jin se maqsud hain manzil ke nishanat mujhe
Pritpal Singh Betab