jin raaton mein nind uD jati hai kya qahr ki raaten hoti hain
darwazon se Takra jate hain diwaron se baaten hoti hain
aashob-e-judai kya kahiye an-honi baaten hoti hain
aaankhon mein andhera chhata hai jab ujali raaten hoti hain
jab wo nahin hote pahlu mein aur lambi raaten hoti hain
yaad aa ke satati rahti hai aur dil se baaten hoti hain
ghir ghir ke baadal aate hain aur be-barse khul jate hain
ummidon ki jhuTi duniya mein sukhi barsaten hoti hain
ummid ka suraj Duba hai aaankhon mein andhera chhaya hai
duniya-e-firaq mein din kaisa raaten hi raaten hoti hain
tai karna hain jhagDe jine ke jis tarah bane kahte sunte
bahron se bhi pala paDta hai gungon se bhi baaten hoti hain
aaankhon mein kahan ras ki bunden kuchh hai to lahu ki lali hai
is badli hui rut mein ab to KHunin barsaten hoti hain
qismat jage to hum soen qismat soe to hum jagen
donon hi ko nind aae jis mein kab aisi raaten hoti hain
jo kan laga kar sunte hain kya jaanen rumuz mohabbat ke
ab honT nahin hilne pate aur pahron baaten hoti hain
jo naz hai wo apnata hai jo ghamza hai wo lubhata hai
in rang-birangi pardon mein ghaton par ghaten hoti hain
hansne mein jo aansu aate hain nairang-e-jahan batlate hain
har roz janaze jate hain har roz baraaten hoti hain
jo kuchh bhi KHushi se hota hai ye dil ka bojh na ban jae
paiman-e-wafa bhi rahne do sab jhuTi baaten hoti hain
jab tak hai dilon mein sachchai sab naz-o-niyaz wahin tak hain
jab KHud-gharzi aa jati hai jul hote hain ghaten hoti hain
himmat kis ki hai jo puchhe ye 'arzu'-e-saudai se
kyun sahab aaKHir akele mein ye kis se baaten hoti hain
Ghazal
Jin raaton mein nind uD jati hai kya qahr ki raaten hoti hain
Arzoo Lakhnavi