jin pe ajal tari thi un ko zinda karta hai
suraj jal kar kitne dilon ko ThanDa karta hai
kitne shahr ujaD jate hain kitne jal jate hain
aur chup-chap zamana sab kuchh dekha karta hai
majburon ki baat alag hai un par kya ilzam
jis ko nahin koi majburi wo kya karta hai
himmat wale pal mein badal dete hain duniya ko
sochne wala dil to baiTha socha karta hai
jis basti mein nafsa-nafsi ka qanun chale
us basti mein kaun kisi ki parwa karta hai
pyar bhari aawaz ki lai mein maddham lahje mein
tanhai mein koi mujh se bola karta hai
us ek sham-e-farozan ke hain aur bhi parwane
chand akela kab suraj ka halqa karta hai
ruh barahna nafs barahna zat barhana jis ki
jism pe wo kya kya poshaken pahna karta hai
ashkon ke sailab-e-rawan ko 'akbar' mat roko
bah jae to bujh ye dil ka halka karta hai
Ghazal
Jin pe ajal tari thi un ko zinda karta hai
Akbar Hyderabadi