jin ki aankhon mein tha surur-e-ghazal 
un ghazalon ki yaad aati hai 
sadgi la-jawab thi jin ki 
un sawalon ki yaad aati hai 
jaane wale kabhi nahin aate 
jaane walon ki yaad aati hai 
'wajd' lutf-e-suKHan mubarak ho 
ba-kamalon ki yaad aati hai
        Ghazal
Jin ki aankhon mein tha surur-e-ghazal
Sikandar Ali Wajd

