jitne marka-e-dil wo lagatar gaya
jis ghaDi fath ka ailan hua haar gaya
thak ke lauT aae alam-dar-e-masawat aaKHir
dur tak silsila-e-andak-o-bisyar gaya
jis ko sab sahal-talab jaan ke karte the gurez
ek wahi shaKHs su-e-manzil-e-dushwar gaya
in dinon zehn ki duniya mein hai masruf bashar
dil ki tahzib gai dard ka bewhaar gaya
hum gunahgaron se ba-mani raha hashr ka din
warna ye sara hi mansuba tha bekar gaya
'saz' hai dil-zada ab bhi tere sheron ke tufail
hum to samjhe the ki ai mir ye aazar gaya
Ghazal
Jitne marka-e-dil wo lagatar gaya
Abdul Ahad Saaz