jite-ji mere har ek mujh pe hi tanqid kare
aur mar jaun to duniya meri taqlid kare
main to kahta hun ki tum abr-e-karam ho lekin
kash sahra mere alfaz ki taid kare
jab har ek baat nihan tishna-e-takmil rahe
phir kare koi to kya jurat-e-tamhid kare
pahle har shaKHs gareban mein apne jhanke
phir ba-sad-shauq kisi aur pe tanqid kare
main samajhta hun ki mujh sa koi maghmum nahin
haal har shaKHs ka lekin meri tardid kare
main hi ab zahar piye leta hun sach ki KHatir
koi to sunnat-e-suqraat ki tajdid kare
wo mari jurat-e-parwaz ko kya samjhega
jo fazaon ko muhit-e-mah-o-KHurshid kare
Ghazal
Jite-ji mere har ek mujh pe hi tanqid kare
Murtaza Birlas

