jita rahun ki hijr mein mar jaun kya karun
tu hi bata mujhe main kidhar jaun kya karun
hai iztirab-e-dil se nipaT arsa mujh pe tang
aaj us talak ba-dida-e-tar jaun kya karun
hairan hun ki kyunke ye qissa chuke mera
sar rakh ke tegh hi pe guzar jaun kya karun
batla de tu hi wa-shud-e-dil ka mujhe ilaj
gulshan mein ai nasim-e-sahar jaun kya karun
baiTha rahun kahan talak us dar pe 'mushafi'
ab aai sham hone ko ghar jaun kya karun
Ghazal
Jita rahun ki hijr mein mar jaun kya karun
Mushafi Ghulam Hamdani

