jina ab dushwar hai baba
fikron ki bhar-mar hai baba
khoTe sikke KHub chalenge
ab apni sarkar hai baba
din ko becho duniya becho
ab ye karobar hai baba
aaj ki ye tahzib to jaise
girti hui diwar hai baba
muflis ki aawaz dabi hai
paison ki jhankar hai baba
kis ko saliqa hai pine ka
kaun yahan mai-KHwar hai baba
apna hi 'darwesh' to shayad
dekho su-e-dar hai baba

Ghazal
Jina ab dushwar hai baba
Tariq Rashid Darvesh