اردو हिंदी
Ji mein kya kya meri umaha tha | Shaahi Shayari
ji mein kya kya meri umaha tha

Ghazal

Ji mein kya kya meri umaha tha

Mirza Azfari

;

ji mein kya kya meri umaha tha
par hua wo jo haq ka chaha tha

nibhi jab tak ki hum nibah sake
aap ne hum ko kab nibaha tha

luqqe do chaar sath jate the
kaisa kal raat hi-hi haha tha

chakki raha tha kya bala ye raqib
chakki sa munh to is ka raha tha

kuche tere mein raat ko jo gae
bhule hum wan jahan doraha tha

tum jhaTak gae kuchh in dinon pyare
Tok kis ne tumhein saraha tha

tum pe tha jab ki aalam-e-tajrid
un dinon main bhi bin-biyaha tha

jis gali bich ja nikalte the
tum par aur hum pe aaha aaha tha

aa ke tujh se jo tha mila laD kar
paya kya 'azfari' ne laha tha