ji mein hai ek din jhum kar us shoKH ko sajda karun
sajde se phir allah tak ek rasta paida karun
bas ho chuka ahl-e-jahan ab ye tamasha kab talak
kya chashm-e-zahir se mila kya dida-e-dil wa karun
han han wo bazigar sahi miTTi ka ek paikar sahi
teri nazar se ham-nashin kaise use dekha karun
jaise kahin hai kuchh kami taswir banti hi nahin
arz-e-hunar mein kab talak kilk-e-guhar toDa karun
us se yahi kahta hun wajib ehtiram-e-ishq hai
andar se ye KHwahish hai wo jaisa kahe waisa karun
ye jhilmilata sa jahan gahe ayan gahe nihan
Thahre to kuchh malum ho dekhun to raaz ifsha karun
Ghazal
Ji mein hai ek din jhum kar us shoKH ko sajda karun
Varis Kirmani