ji mein aata hai ki chal kar jangalon mein ja rahen
nit-nae mausam ke bhi hamrah wabasta rahen
aati jati rut ko dekhen apne chashm o gosh se
mausamon ke war sah kar bhi yunhi zinda rahen
phul phal paude parinde hamdam o dam-saz hon
in mein baste hi bhale lekin na yun tanha rahen
shahr ke diwar-o-dar har ek se hain na-ashna
shahr mein rahte hue kyunkar na begana rahen
be-murawwat hai zamana us ka shikwa kyun karen
apne andar ke makin ka ban ke ham-saya rahen
jism ke andar ghamon ki aandhiyan chalti rahen
zahiri surat mein sab chehre tar-o-taza rahen
dekhte hi jis ko sab mahrumiyan kafur hon
dil mein tufan se uThen chehre magar sada rahen
masala ye bhi to hai is ahd ka ai jaan-e-jaan
kyun nichhawar jaan karen kis ke liye zinda rahen
uDte lamhon ko agar qabu mein karna hai 'said'
bhagne ko har ghaDi har waqt aamada rahen
Ghazal
Ji mein aata hai ki chal kar jangalon mein ja rahen
Taj Saeed