اردو हिंदी
Ji larazta hai umaDti hui tanhai se | Shaahi Shayari
ji larazta hai umaDti hui tanhai se

Ghazal

Ji larazta hai umaDti hui tanhai se

Jafar Shirazi

;

ji larazta hai umaDti hui tanhai se
ab nikalo mujhe us raat ki pahnai se

aai yaadon ki hawa ghulne laga kan mein zahr
bujh gai sham bhi bajti hui shahnai se

puchhta phirta hun galiyon ke ujaDne ka sabab
har taraf jama hain kya log tamashai se

samne phaila hua dasht ka sannaTa hai
ab kahan bach ke chalen hum dil-e-saudai se

ban gaya ek qayamat dar-e-dil tak aana
aur guzarna hai abhi dhyan ki angnai se

kis tarah apna banaen use hum ai 'jafar'
baat aage na baDhi jis ki shanasai se