اردو हिंदी
Ji bhi kuchh aisa jalaya hai ki ji jaanta hai | Shaahi Shayari
ji bhi kuchh aisa jalaya hai ki ji jaanta hai

Ghazal

Ji bhi kuchh aisa jalaya hai ki ji jaanta hai

Talib Baghpati

;

ji bhi kuchh aisa jalaya hai ki ji jaanta hai
aap ne itna rulaya hai ki ji jaanta hai

yaad ban kar teri masum wafa ne zalim
dil pe wo naqsh biThaya hai ki ji jaanta hai

shauq-e-gustaKH ne aksar tumhein barham kar ke
hae wo lutf uThaya hai ki ji jaanta hai

jab kabhi yaad dilaya hai taKHayyul ne tumhein
is tarah yaad dilaya hai ki ji jaanta hai

itna afsana-e-furqat ko kiya ishq ne zabt
sirf ye dars paDhaya hai ki ji jaanta hai

dars-e-ibrat hai mere dil ki tabahi 'talib'
KHak mein aisa milaya hai ki ji jaanta hai