jihat ko be-jihti ke hunar ne chhin liya
meri nigah ko mere hi sar ne chhin liya
hai kis ke dast-e-karam mein mahaar-e-naqa-e-jaan
safar ka lutf gham-e-ham-safar ne chhin liya
main apni ruh ke zarre sameTta kyun kar
ye KHak wo thi jise kuza-gar ne chhin liya
bhaTak rahe hain jawani ke na-rasa-lamhat
bahut se ghar the jinhen ek ghar ne chhin liya
ba-qaul-e-'ghaalib'-e-dana guzar hi jati ye umr
magar use bhi tere rahguzar ne chhin liya
shikar-gah shikari ke KHun se rangin hai
zamin ka rizq kisi jaanwar ne chhin liya
safar ki ruh tha wo zauq-e-justuju 'talib'
jise charagh-e-sar-e-rahguzar ne chhin liya

Ghazal
Jihat ko be-jihti ke hunar ne chhin liya
Talib Johari