jidhar nazren uThaen tirgi hai
hamari zindagi kya zindagi hai
ye manzil hai to ai ashab-e-manzil
ye meri ruh mein kya tishnagi hai
ye gham ki intiha hai ya wafa ki
nazar mein pyas honTon par hansi hai
ye dil mein dard chamka ya koi yaad
ye kaisi aag ki si raushni hai
KHirad ki intiha mujh se na puchho
jab us ki ibtida diwangi hai
use KHatra hai sirf ek fasl-e-gul ka
KHizan ko kis qadar aasudgi hai
Ghazal
Jidhar nazren uThaen tirgi hai
Parveen Fana Syed

