jhuki nigah mein hai Dhab pursish-e-nihani ka
haya mein zor diya rang mehrbani ka
jiye hain garm nafas soz se ki bahr-e-charagh
kare hai shola hi kaam aab-e-zindagani ka
tabassum-e-lab-e-gunche ko dekh rota hun
ki Thik rang hai us KHanda-e-nihani ka
kahan se zor-e-dil-o-sina-o-jigar laun
tumhein to khel laga hath tegh-rani ka
ilahi jaib ki daman ki aastin dhoun
mizha ne sikh liya shaghl KHun-fishani ka
nahin bacha maraz-e-ishq se koi 'mamnun'
hamein daregh bahut hai teri jawani ka

Ghazal
Jhuki nigah mein hai Dhab pursish-e-nihani ka
Mamnoon Nizamuddin