اردو हिंदी
Jhuka hua hai jo mujh par wajud mera hai | Shaahi Shayari
jhuka hua hai jo mujh par wajud mera hai

Ghazal

Jhuka hua hai jo mujh par wajud mera hai

Rafiq Sandelvi

;

jhuka hua hai jo mujh par wajud mera hai
KHud apne ghaar ka patthar wajud mera hai

ye chap, tirgi, niche ko ja raha zina
isi surang ke andar wajud mera hai

nahin hai is mein kisi ki shirakat-nafsi
ye baat tai hai sarasar wajud mera hai

mushabah donon hain phir bhi ruKH-e-tamanna se
tere wajud se baDh kar wajud mera hai

ye hadd-e-KHirgi jis par hai jalwa-ara tu
bas is se agle qadam par wajud mera hai