jhilmilate hue aansu bhi ajab hote hain
sham-e-furqat ke ye jugnu bhi ajab hote hain
ye ada husn ki hum kyun nazar-andaz karen
us ke bikhre hue gesu bhi ajab hote hain
qatl ho koi to kanp uThti hai sari duniya
dard-e-insan ke ye pahlu bhi ajab hote hain
kis ko git apne sunate hain wahan kya kahiye
naghma-KHwanan-e-lab-e-ju bhi ajab hote hain
is KHarabi se to mamur hai sara aalam
ye fasadat-e-man-o-tu bhi ajab hote hain
walwale dil ke na malum kidhar le jaen
kashti-e-dil ke ye chappu bhi ajab hote hain
bhaiyon ke sitam o jaur ko kya tum se kahun
'ramz' ye quwwat-e-bazu bhi ajab hote hain

Ghazal
Jhilmilate hue aansu bhi ajab hote hain
Ramz Afaqi