jhil ke par dhanak-rang saman hai kaisa
jhilmilata hua wo aks wahan hai kaisa
jalte bujhte hue fanus hain manzar manzar
naqsh-dar-naqsh wo miT kar bhi ayan hai kaisa
kitne alfaz-o-maani ke waraq khulte hain
mere andar ye kitabon ka jahan hai kaisa
mujh mein ab meri jagah aur koi hai shayad
kuchh samajh mein nahin aata ye guman hai kaisa
shahr se lauT ke ghar qarz chukana hai mujhe
kaise likkhun ki mera haal yahan hai kaisa
kis ne Dali hai fazaon pe ye maili chadar
shab ke mathe pe lahu-rang nishan hai kaisa
muTThiyan bhej ke hum log rahe hain kab se
dur tak aag ka jangal hai saman hai kaisa
mere ajdad ke to KHwab yahan dafn nahin
ye haweli ye pur-asrar dhuan hai kaisa
qabren bhi us mein nahin taj-mahal ki surat
koi aabaad nahin hai ye makan hai kaisa
Ghazal
Jhil ke par dhanak-rang saman hai kaisa
Nusrat Gwaliari