jhamakte jhumte mausam ka dhoka kha raha hun main
bahut lahrae hain baadal magar pyasa raha hun main
hui jab dhup ki barish mere sar par to kya hoga
daraKHton ke ghane sayon mein bhi sanwla raha hun main
wahi kuchh kar raha hun jo kiya mere buzurgon ne
nae zehnon pe apne tajrbe barsa raha hun main
ye tohmat KHak tohmat hai mere ham-jurm ham-sayo
tumhaari umr mein tum se kahin ruswa raha hun main
KHayal aata hai bazaron ki raunaq dekh kar mujh ko
bhare dariya mein tinka ban ke bahta ja raha hun main
teri aaghosh chhuTi to mili wo bad-dua mujh ko
ki ab apni hi banhon mein simaTta ja raha hun main
'qatil' ab tak nadamat hai mujhe tark-e-mohabbat par
zara sa jurm kar ke aaj bhi pachhta raha hun main
Ghazal
Jhamakte jhumte mausam ka dhoka kha raha hun main
Qateel Shifai

