jazire hon ki wo sahra hon KHwab hona hai
samundaron ko kisi din sarab hona hai
sawal puchhne walo tumhein bhi aaKHir-e-kar
rahin-e-minnat-e-bar-e-jawab hona hai
khanDar mein baiTh ke rone ki KHu nahin jati
tumhaari aankh pe shayad azab hona hai
wo zulmaten jo ujalon ke ghar mein rahti hain
unhen bhi misl-e-sahr be-naqab hona hai
wo din jo nili kitabon mein band hai us ko
abhi to mere liye be-hijab hona hai
abhi to KHwahish-e-be-dast-o-pa salamat hai
abhi kuchh aur ye KHana-KHarab hona hai
ye shaKH shaKH parinde pukarte hain 'matin'
hamein to shaKH se gir kar gulab hona hai
Ghazal
Jazire hon ki wo sahra hon KHwab hona hai
Ghayas Mateen