jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-KHata paya
main ne jab use dekha dekhta hua paya
jaante ho kya paya puchhte ho kya paya
subh-dam dariche mein ek KHat paDa paya
der mein pahunchne par bahs to hui lekin
us ki be-qarari ko hasb-e-muddaa paya
subh tak mere ham-rah aankh bhi na jhapkai
main ne har sitare ko dard-ashna paya
girya-e-judai ko sahl jaanne walo
dil se aankh ki jaanib KHun dauDta paya
ehtimam-e-parda ne khol din nai rahen
wo jahan chhupa ja kar mera samna paya
dil ko moh leti hai dil-kashi-e-nazzara
aankh ki KHataon mein dil ko mubtala paya
rang lai na aaKHir tark-e-naz-bardari
hath joD kar us ko mahw-e-iltija paya
'shad' ghair-mumkin hai shikwa-e-butan mujh se
main ne jis se ulfat ki us ko ba-wafa paya
Ghazal
Jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-KHata paya
Shaad Aarfi