jazba-e-ishq phir machalta hai
Dhalte Dhalte ye chand Dhalta hai
puchhti phir rahi hai os abhi
phul kab pairahan badalta hai
main to chalta hun teri yaad ke sath
rasta mere sath chalta hai
tere aangan mein shab utarti hai
teri khiDki se din nikalta hai
KHushbuen KHushbuon se milti hain
kis liye phul hath malta hai
lakh nazuk sahaare hon lekin
girne wala kahan sambhalta hai
aarzuon ki fasl dil mein hai
chashma aankhon se kyun ubalta hai
hum jhulas to rahe hain ai jaanan
tera suraj bhi to pighalta hai
rae hum ko badalni paDti hai
waqt kab faisla badalta hai

Ghazal
Jazba-e-ishq phir machalta hai
Lateef Sahil