jazba-e-ishq bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
husn-e-yusuf ka magar koi KHaridar bhi hai
shoala-e-tur bhi hai jalwa-gah-bar bhi hai
dekhna ye hai koi talib-e-didar bhi hai
dil ka sauda mujhe manzur hai lekin ai dost
mera ham-zauq bhi hai munis-o-gham-KHwar bhi hai
kabhi badle hue tewar kabhi duzdida nazar
ek hi waqt mein iqrar bhi inkar bhi hai
pur-ziya bazm-e-masarrat hai ziya-e-gham se
jis jagah phul mahakta hai wahan KHar bhi hai
chashm-e-saqi ka na mai-KHwar sahaara DhunDen
wo suKHan-saz bhi hai aur jafa-kar bhi hai
meri duniya mein wahi sham-o-sahar hain ab tak
zindagi talKH bhi hai aur giran-bar bhi hai
dil hatheli pe liye sar ko jhukae rahna
un ka mansha bhi hai aashiq ko saza-war bhi hai
jab gham-e-dil ko masiha ki zarurat hi nahin
ab main samjha hun ye ek uqda-e-dushwar bhi hai
'sajid'-e-KHasta ko aaghosh-e-karam mein le le
tera banda bhi hai aur tera gunahgar bhi hai

Ghazal
Jazba-e-ishq bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
Sajid Siddiqi lakhnavi