اردو हिंदी
Jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein | Shaahi Shayari
jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein

Ghazal

Jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein

Jurat Qalandar Bakhsh

;

jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein
apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein

bazm mein takte hain munh us ka khaDe aur wo shoKH
na uThata hai kisi ko na biThata hai hamein

kya sitam hai ki tariq apna rah-e-ishq mein aah
koi jis ko nahin bhata wo hi bhata hai hamein

is taraqqi mein tanazzul mein hai ki jun qamat-e-tifl
aasman umr ghTane ko baDhata hai hamein

band kar baiThe hain ab aankh jo hum to allah
nazar aata jo nahin so nazar aata hai hamein

ThanDe hone ka bhi ta samjhen maza itne liye
charKH manind-e-charagh aah jalata hai hamein

ai KHusha ye ki wo hansne ke liye rota hai
apni KHursandi-e-KHatir ko kuDhata hai hamein

mil ke hum us se jo Tuk sowen to dukh dene ko
baKHt-e-bad KHwab judai ka dikhata hai hamein

hum hain wo murgh-e-giraftar ki apne par se
warna jis ko ki howe wo chhuData hai hamein

la ke us shoKH-e-sitamgar ke do-rangi ke payam
na hansata hai koi ab na rulata hai hamein

san se ja baiThte hain us ke tasawwur mein hum aah
bazm-e-KHuban mein koi pas bulata hai hamein

mahw-e-nazzara hon kya hum ki ba-qaul-e-'jurat'
apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein