اردو हिंदी
Jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi | Shaahi Shayari
jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi

Ghazal

Jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi

Darshan Singh

;

jazba-e-dil ko amal mein kabhi lao to sahi
apni manzil ki taraf panw baDhao to sahi

zindagi wo jo harif-e-gham-e-ayyam rahe
dil shikasta hai to kya saz uThao to sahi

jag uTThegi ye soi hui duniya lekin
pahle KHwabida tamanna ko jagao to sahi

phul hi phul hain kahte ho jinhen tum kanTe
meri duniya-e-junun mein kabhi aao to sahi

tumhein aabaad nazar aaegi ujDi duniya
dil ki duniya ko mohabbat se basao to sahi

zindagi phir se jawan phir se hasin ho jae
un ki aankhon se zara aankh milao to sahi

karte phirte ho andhere ki shikayat 'darshan'
dil ki duniya mein koi dip jalao to sahi