jawani yaad hum ko apni phir be-iKHtiyar aai
hua diwanon mein jab ghul bahaar aai bahaar aai
hua tha marg se ghafil main kis din josh-e-wahshat mein
saba kyun le ke mere samne musht-e-ghubar aai
dikhae ranj piri ke ajal tere taghaful ne
tujhe aana tha pahle aah tu anjam kar aai
hamare tausan-e-umr-e-rawan ke tez karne ko
shamim-e-zulf dosh-e-baad-e-sarsar par sawar aai
na paya waqt ai zahid koi main ne ibaadat ka
shab-e-hijran hui aaKHir to subh-e-intizar aai
na kuchh KHatra KHizan ka hai na ehsan-e-bahaar us par
adam se apni shaKH-e-arzu be-barg-o-bar aai
hamari dekhiyo ghaflat na samjhe wae nadani
hamein do din ke bahlane ko umr-e-be-madar aai
jo nang-e-ishq hain wo bul-hawas fariyaad karte hain
lab-e-zaKHm-e-'hawas' se kab sada-e-zinhaar aai
Ghazal
Jawani yaad hum ko apni phir be-iKHtiyar aai
Mirza Mohammad Taqi Hawas