jawani mein tabiat la-ubaali hoti jati hai
taraqqi par meri shorida-haali hoti jati hai
shab-e-gham chhaya jata hai dhuan aahon ke shoalon se
sitare TuTte hain raat kali hoti jati hai
umiden aati hain aa aa ke dil se nikli jati hain
ye wo basti hai jo bas bas ke KHali hoti jati hai
khile jate hain gul maqtal mein kya kya aks-e-ariz se
kisi ki tegh bhi phulon ki Dali hoti jati hai
wo sun kar haal-e-furqat hoga hoga kahte jate hain
kahani meri mazi ehtimali hoti jati hai
mile hain sunne wale dil ke patthar ai 'wafa' aise
ki sharminda meri nazuk-KHayali hoti jati hai
Ghazal
Jawani mein tabiat la-ubaali hoti jati hai
Mela Ram Wafa