jawab jis ka nahin koi wo sawal bana 
main KHwab mein use dekhun koi KHayal bana 
main e'tiraf ke mausam mein chup nahin rahta 
mere KHuda meri hasti ke KHadd-o-KHal bana 
wo kaun hai jo meri hijraton se TuT gaya 
wo kaun shaKHs hai jo aaina-misal bana 
wo kis ke dhyan mein aaya tha mausamon ki tarah 
wo kaun hai jo meri soch ka KHayal bana 
main kis yaqin se likkha gaya hun miTTi par 
wo kaun hai jo mere silsile ki Dhaal bana 
tu iztirab ke rangon se aashna hi nahin 
bas ek til ke liye zaiche mein gal bana 
main kho gaya hun kahin waqt ke tahayyur mein 
mere KHuda mere din raat mah o sal bana
        Ghazal
Jawab jis ka nahin koi wo sawal bana
KHalid Malik u0027Sahilu0027

