اردو हिंदी
Jauhar-e-asman se kya na hua | Shaahi Shayari
jauhar-e-asman se kya na hua

Ghazal

Jauhar-e-asman se kya na hua

Ghulam Maula Qalaq

;

jauhar-e-asman se kya na hua
darKHur-e-arz-e-muddaa na hua

sai-e-jaan laeq-e-dawish na hui
dard-e-dil qabil-e-dawa na hua

Dher hai ek ghubar-e-KHatir ka
KHak hai jis ka dil safa na hua

haif dast-e-dua-o-daman-e-naz
KHair guzri ki tu KHuda na hua

wahdahu-la-sharik kya mani
na hua tu hi aashna na hua

rashk-e-baham azal se awwal hai
ek ki shakl dusra na hua

waste dil ke hai jigar darkar
dil-ruba bhi to dil-ruba na hua

saf hathon se tere uD jata
KHun mera tair-e-hina na hua

ai falak milte milte kho jata
kisi muflis ka aasra na hua

yaad dilwana kyun nahin mayub
shukr kab shikwa-e-jafa na hua

rahbari aur mujh se wahshi ki
rahnuma apna rahnuma na hua

be-nasibi-e-baadshah na puchh
is gadai pe bhi gada na hua

na nikalta kabhi mere dil se
mera hi tu bhi muddaa na hua

kaun behtar adu se ho sach hai
kushta-e-zillat-e-wafa na hua

ahl-e-qibla ko hai talash-e-imam
ai 'qalaq' tu hi parsa na hua