اردو हिंदी
Jashn manao rone wale girya bhul ke mast rahen | Shaahi Shayari
jashn manao rone wale girya bhul ke mast rahen

Ghazal

Jashn manao rone wale girya bhul ke mast rahen

Ahmad Jahangeer

;

jashn manao rone wale girya bhul ke mast rahen
sarangi ke tir samaat mein imshab paiwast rahen

irani ghaaliche ke chau-gard nashisten qaem hon
kafuri shamon se raushan paiham ahl-e-hast rahen

kasawaya jae ghoDon se lakDi ke pahiyon ka rath
tabl alam aswar payaade sare bandobast rahen

rang-e-saped-o-siyah sunahri sab shaklon mein zahir hon
aag se apni rakh uTha kar sona chandi jast rahen

naqqare par choT maraatib ka elan sunati hai
phus ki kuTiyaen marmar ki diwaron se past rahen

ek taraf kuchh honT mohabbat ki raushan aayat paDhen
ek saf mein hathiyar sajae sare jang-parast rahen