jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai
ek baraat aa chuki ek baraat aur hai
ishq ki ek zaban par lakh tarah ki bandishen
aap to jo kahen baja aap ki baat aur hai
pine ko is jahan mein kaun si mai nahin magar
ishq jo banTta hai wo aab-e-hayat aur hai
zulmat-e-waqt se kaho hasrat-e-dil nikal le
zulmat-e-waqt ke liye aaj ki raat aur hai
un ko 'shamim' kis tarah nama-e-arzu likhen
likhne ki baat aur hai kahne ki baat aur hai
Ghazal
Jashn-e-hayat ho chuka jashn-e-mamat aur hai
Shamim Karhani