jaras-e-mai ne pukara hai uTho aur suno
shaiKH aae hain su-e-mai-kada lo aur suno
kis tarah ujDe sulagti hui yaadon ke diye
hamdamo dil ke qarib aao ruko aur suno
zaKHm-e-hasti hai koi zaKHm-e-mohabbat to nahin
Tis uTThe bhi to fariyaad na ho aur suno
KHud hi har ghaw pe kahte ho zaban gang rahe
KHud hi phir pursish-e-ahwal karo aur suno
dastan kahte hain jalte hue phulon ke charagh
abhi kuchh aur suno dida-waro aur suno
shahryaron ke hain har gam pe charche 'rahat'
ye wo basti hai ki bas kuchh na kaho aur suno
Ghazal
Jaras-e-mai ne pukara hai uTho aur suno
Ameen Rahat Chugtai