اردو हिंदी
Jangalon mein justuju-e-qais-e-sahrai karun | Shaahi Shayari
jangalon mein justuju-e-qais-e-sahrai karun

Ghazal

Jangalon mein justuju-e-qais-e-sahrai karun

Mirza Mohammad Taqi Hawas

;

jangalon mein justuju-e-qais-e-sahrai karun
kab talak DhunDun kahan tak jada-paimai karun

gar koi mane na ho wan sajda karne ka mujhe
aastan-e-yar par barson jabin-sai karun

bazm-e-hasti mein nahin juz bekasi apna rafiq
kis ki KHatir dosto main mahfil-arai karun

ghaarat-e-dil ka jo karta hai irada tark-e-chashm
ghamza kahta hai main taraj shakebai karun

le gae jab tere diwane ko isa ne kaha
har ghaDi main kya ilaj-e-mard-e-saudai karun

aashna koi nazar aata nahin yan ai 'hawas'
kis ko main apna anis-e-kunj-e-tanhai karun