jangalon ki ye muhim hai raKHt-e-jaan koi nahin
sang-rezon ki girah mein kahkashan koi nahin
kya KHabar hai kis kinare is safar ki sham ho
kashti-e-umr-e-rawan mein baadban koi nahin
aashiqon ne sirf apne dukh ko samjha mo'tabar
mehr sab ki aarzu hai mehrban koi nahin
ek dariya par kar ke aa gaya hun us ke pas
ek sahra ke siwa ab darmiyan koi nahin
hasraton ki aabru tahzib-e-gham se bach gai
is nafasat se jala hai dil dhuan koi nahin
kaT chuke hain apne mazi se suKHan ke pesha-war
marsiya-go so chuke aur qissa-KHwan koi nahin
puchhta hai aaj un ka be-takalluf sa libas
is gali mein kya jiyala naujawan koi nahin
wo rahe qaid-e-zaman mein jo makin-e-am ho
lamha lamha jine walon ka makan koi nahin
majlison ki KHak chhani to khula mujh par 'naim'
aazmi sa KHush-nigah o KHush-bayan koi nahin
Ghazal
Jangalon ki ye muhim hai raKHt-e-jaan koi nahin
Hasan Nayeem