jangal ka sannaTa mera dushman hai
phailta sahra dida-o-dil ka dushman hai
jism ki oT mein ghat lagae baiTha hai
mausam-e-gul bhi ek anokha dushman hai
naqsh-e-wafa mein rang wahi hai dekho to
jis ki duniya jo duniya ka dushman hai
sahil-e-marg pe rafta rafta le aaya
tanhai ka rog bhi achchha dushman hai
chand mein shayad pyar milega insan ko
is basti ka saya saya dushman hai
patthar to KHamosh paDe hain rahon mein
aaina kyun aaine ka dushman hai
jis ko dushman samjha wo to chhoD gaya
jis ko apna jaana gahra dushman hai
Ghazal
Jangal ka sannaTa mera dushman hai
Ahmad Zafar