jang se jangal bana jangal se main nikla nahin
ho gaya ojhal magar ojhal se main nikla nahin
dawat-e-uftad rakkhi chhal se main nikla nahin
nikle bhi kas-bal magar kas-bal se main nikla nahin
dekhte rahna tera mashur chhat par kar gaya
is qadar barish hui jal-thal se main nikla nahin
jaise tu hi to ho meri nind se lipTa hua
jaise tere KHwab ke maKHmal se main nikla nahin
dekhne walon ko shahr-e-KHwab sa dikhta hun main
jaise tere surmai baadal se main nikla nahin
dekh suraj aa gaya sar par mujhe aawaz de
phul sa ab tak teri konpal se main nikla nahin
shab jo aiman rag mein Dubi sahar thi bhairawi
tewari chaDhti rahi komal se main nikla nahin
tera pallu ek jhaTke se gaya go hath se
aanch lipTi hai ki jun aanchal se main nikla nahin
apne markaz ki mahak chaaron taraf bikhrai hai
phaDphaDa kar bhi tere sandal se main nikla nahin
taba ki pechidgi shayad meri pahchan ho
yun na ho ho mustaqil jis bal se main nikla nahin
nam likkha tha mera main ne to apnana hi tha
ek lamhe ke liye bhi pul se main nikla nahin
yun laga jaise kabhi main dahr ka hissa na tha
baat itni hai ki bahar kal se main nikla nahin
hausle jaise Dubo Dale hain is pardes ne
richh nikla naddi se kambal se main nikla nahin
main ne koi aatma an-chahi aane hi na di
kaise kah dun apni hi daldal se main nikla nahin
is ke hote ek shab raushan hua jal par 'nawed'
chal diya wo to kabhi ka jal se main nikla nahin
Ghazal
Jang se jangal bana jangal se main nikla nahin
Afzal Naved